Tuesday, October 12, 2010

Poem of a Wife of a Soldier and Reply of a Soldier to his wife.

Guzre dinon ki baat he , hum yaheen bethe the isi tarah
Is waade k yakeen dilaya tha tum ne,LOUT AUN GA MEN........
 
Tab se aaj tak mehendi kaa rang men ne pheeka parne na diya
Keh yakeen tha tumhare lafzon men,LOUT AUN GA MEN.......
 
Kawa ke jhonkon ko dareechon,guzargahon men ane ki ijazat nahin
Ke sama"at men meri mehfuz he, LOUT AUN GA MEN
 
Roz sajti hun,sanwarti hun
Khud ko khushbun men mehkati hun
Sham ke baad bhi kuaarr band nahi kerti
Sari raat aankhon men guzarti hun
Baarish ki taman"na nahi rahi ke tanhai ka alam he
per,
Yad"dasht men meri mehfuz he,LOUT AUN GA MEN
 
Per kya kerun k bardaasht had se guzar na jae,
Dar he mjhe,
Haathon ki mehendi pheeki na par jae,
Raaat ki taariki , roshni ki chaadar na aurh le,
Ke aanso"o se bheega takkya mere qarb ki gawaahi na de de,
Kntezar ki sooli pe latki ZINDAGI ki aasdum na tor de
Ke ub to na behla mjhe in lafzon se, LOUT AUN GA MEN



Reply From the Soldier to his Wife


Guzishta raat kati meri aankhon men
Khayalon men rahe bus surat teri
Sooni si lage jab jeewan ki dagr
Bus yad rakhna mere lafz, LOUT AUN GA MEN
 
Zindagi sehel na pao jab
Tanhai dase mere bin
Sochon ka tasalsul tute jab
Rim jhim barsaat men tarso mere sath ko jab
Jee lena judai k ye pal, LOUT AUN GA MEN
 
Naina kurb se jab bhar aen
Umeed ka dya na bujhne dena tab
Hosle past na kerna aur
Intizar kerna is aas per mera,k LOUT AUN GA MEN
 
Khwab apne masmaar mat kerna
Koi shokh rang dhanak ka dekho to
Dukhon ko shumaar mat kerna
Sanbhal rakhna apni khushyun ko
Muskaan ko , apne juzbon ko
Ke mera maan rkh lena, LOUT AUN GA MEN
 
Jub yaad ati he ghar ki mjhe
Sub ke pyar ki , ulfat ki mjhe
Bus aankhen bheegne ko beta"ab hun jab
Dil tum se milne ko be qrar ho jab
Is aas pe dil ko samjha leta hun
Zindagi se nibha ker leta hun
Is DHARTI MAA ka qarz he ye
Is ki hifazat farz he ye
Tum se judai ke pal hen thore se
Ke umeed he mjhe , LOUT AUN GA MEN



By Naina Junaid (Aiman Junaid)
Lahore Pakistan

4 comments:

  1. marvelous...so heart-touching...it reminded so many things...God bless u...

    ReplyDelete
  2. pakistan zinda baad pakistan k liye jaa b qurban he

    ReplyDelete
  3. Hats off to these guys who defend us !!!!

    ReplyDelete
  4. Zabardast.
    MAy god Bless us all. and Our Brohters who gave there Life's fro Safety of our Beloved Mother land, Pakistan.

    ReplyDelete